Jammin’ – Yaara Lyrics – A.R. Rahman

Hindi Songs Lyrics

  • Song Name: Jammin’ – Yaara
  • Music: A.R. Rahman
  • Lyrics: Navneeth
  • Rap Lyrics: Mumbai’s Finest
Singers: A.R. Rahman, Sanam (sanam Puri, Samar Puri, Venky S, Keshav Dhanraj), Shraddha Sharma, Siddharth Slathia, Jonita Gandhi, Arjun Kanungo, Maati Baani ( Nirali Kartik & Kartik Shah), Sanah Moidutty, Raaga Trippin (alan De Souza, Gary Misquitta, Gwen Dias, Keshia Braganza, Suzanne D’mello And Thomson Andrews) And Mumbai’s Finest (ace, Diefferent, Ninja) 

Jammin’s anthem song, ‘Yaara Lyrics’ – a mega collaboration with legendary singer-composer A.R. Rahman with digital superstars Sanam, Shraddha Sharma, Siddharth Slathia, Arjun Kanungo, Jonita Gandhi, Sanah Moidutty, Raaga Trippin, Maati Baani and Mumbai’s Finest.

Jammin’- A first of its’ kind musical collaboration where legendary Bollywood composers and digital youth icons come together to create original melodies like you have never heard before. With 10 awesome tracks and a grand mega live concert in Mumbai on the 11th of Nov! 


Jammin’ – Yaara Lyrics – A.R. Rahman | Anthem

Jaane Kyon Beimaan Hai,
Merahi Aaina.
Mujhepehchaane Na,
Kyon Lage Aaj Khud Se Yeh Pehli Mulaqaat Hai.

Chamkeela Suraj Toh Hai Utha,
Phir Bhi In Aankhon Mein Ghoome,
(kyon) Gehri Raat Hai.

Kaisi Hai Yeh Roshni
Jo Mujh Tak Aaye Na
Haathbadhaaye Na
Nazrein Milaaye Na
Raat Bujhaaye Na.

Kyon Har Chehre
Pe Lagey Pehre.

Yeh Zameen Deewaaron Ke Bina Thi Bani
Khud Se Khafa Hai (yeh) Sarajahan
Naraaz Hai, Naraaz Hai…

Mann Ke Gehre Se Kamron Mein Dhoonda
Toh Miley Bhoole Se Darwaaze O…
O… Khola Toh Dahleez Pe Khadi Thi Subah Ki Kiranein O…

Dhul Gayi Beh Gayi Sari Siyahi
Ghuli Hain Muskaanein.

Udaa Man Hawaa Ban
Pehchaane Na Sarhadein
Hai Saanjha Sa Noor Yeh
Saanjhi Yeh Rehmatein
Hum Juda Toh Na Thhe.

Wohi Ghamon Se Hai
Wohi Khushi Se Hai Dosti
Ek Si Hai Zindagi.

Yaara Hum Nahin Ajnabi
Ajnabi Toh Hum Nahin
Dhadke Seene Mein.

Yeh Dil Toh Hai Wohi
Yaara Hum Nahin Ajnabi
Ajnabi Toh Hum Nahin.

Mitti Se Sab Baney
Wohi Rooh Toh Hai Bhari
Yaara Ham-watan Ya Ham-mazhab Ya Ham-zabaan Hum Na Sahi
Yaara Iss Zameen Pehi Ho Jannat Yeh Toh Chaahein Hum Sabhi
Aa Haath Mila…

Rap:
Honge Sab , Ek Aaj
Ek Jaan,jasbaat
Saath Haath Mil Baat
Pyaar Ka Yeh Saugaat
Lakere Ye Mitani
Hathyaar Ye Hataane
Aise Ho Ye Yaari
Ki Hum Milke In Dewaro Ko Girade.

Khudse Kyu Sawaal Jab Khud Main Hi Jawaab Mere Yaar
Kyu Na Baate Zindagi Main Pyaar Jeele Aaj

Kyu Hai Kyu Hai Sach Se Anjaan Kyu Hai
Hum Sab Mein Ek Jaan Hai
Sab Pehle Insaan Hai
Yaara Yaara.